8

Khushi ka kaamyaab ko pegaam…

Kaamyabi ke liye khushi ko khoya hai
Aaj firse tera banda roya hai
Aaj firse ruh ne meri mujhe pukara hai
Aur meri harkaton pe mujhe dutkara hai
Ki kyun tuh itna karta hai
Ki kaamyabi ke liye tu, itna kyun marta hai
Kya khushi ka naam kaamyabi hai?
Aur isi sawaal ne mujhe jagjhoda hai
Mehnat aur irade ko beech main hi toda hai
Aakhir, khushi ki ek tasweer hai
Jo mehnat se nahi
Balki swayam se dikhti hai
Toh fir tu khud ko kyun maarta hai
Is jindagi ki ladai main dusro ke liye kyun haarta hai
Kya khushi ka haar tere laayak nahi?
Yadi hai toh ise swikaar kar
Chahe jeet kar chahe haar kar
Duniya ki kadamon par khud ko kabtak chalaiga
Kabhi na kabhi tu bhi Jannat lot ke aayega !!

Kabhi na kabhi tu bhi Jannat lot ke aayega!!

Leave a Reply

%d bloggers like this: