8

Saansarik Sukho ka mela, Par yeh mann akela

Aaj shaam jami hai
Nahi kisi ki Kami hai
Bhali naachne ki Bela hai
Par yeh man akela hai
Log khush hai par madhosh
Nahi kisi mein, kam hai Josh
Meri aankhen nam hai
Aaj jeene ka gum hai
Doondh raha hun apna raasta
Nahi bhata hai ab khana ya nashta
Aaj roshni ki talaash hai
Aur andhera, budhi ka kar raha naash hai
Meri jindagi, aaj kore kaagaj ke sammaan jai
Log samajh rahe, woh mahaan hai
Prarthna hai bhagwan se
Ki kuch acha karwa iss insaan se
Yeh jaag jaaye
Aur isse sab yaad aaye
Iska bhagya khul jaaye
Isse jeene ki raah mil jaaye
Likhde yeh nayi kahani
Mere Malik Teri jubani
Nirmal ho jaaye jese paani

Isse nahi pahuncha paye koi bhi haani
Isse nahi pahuncha paye koi bhi haani

Leave a Reply

%d bloggers like this: