Jag ke liye tujhko choda
Jag ne mujhe baar baar toda, Aur Marg mein ban gaya roda
Tu jo saath thi
Jeene main alag baat thi, Jese Jaadu ki chadi saath thi
Ab tu paas nahi
Mann mein teri aas rahi, Tujhe kya lagta hai; main udaas nahi
Ab teri yaadon mein jeeta hun
Apne zhakmon ko seeta hun, Apne gam ko peeta hun
Tujhe wapas toh nahi maang sakta rab se
Jana jaruri hai Jag se, Par tera mera rishta alag hai sabse
Kabhi rulati hain toh kabhi darpan dikhati hain
Tera hasna anokha tha
Kya tera chala jana sacha tha ya dokha tha
Abhi bhi teri tasveer dekhte nahi rukta hun
Tu meri shubta hai, kahin nikalne se pehle tere saamne jhukta hun
Aaj mujhe garv hai ki maine tujko paya
Jeevan main khushali aayi aur Ishwar bana mera saaya
Ab teri seekh mere saath hai
Ishwar ka iss balak ke sar pe haath hai
Kabhi kabhi tu sapnon main aati hai
Neend se jagati hai, Pyaar jatati hai
Naye naye kisse sunati hai, par paas aata hun toh neend khul jati hai
Kaash yeh sapna sach hota
Tujhe nazrein na hathti, aur main kabhi na sota
Ab maalik tujhe mukt kare
Mujhe gyaan de aur mere dukh hare
Tu naa hokar bhi paas hai
Tera saath hai, yeh ehsaas hai…
Tera saath hai, yeh ehsaas hai…